1. jo shaks Allah ki mohabat ka maza chakh leta hay phir use duniya hasal karne ki mohlat nahi miltior use insano se ghabrahat or weshat hoti hay.
2. main gowahi deta hun ke Khuda ek hay,is ka koi shareek nahi,is ke alawa koi abadat ke laeek nahi,Allah to hamesha se hay or hamesha rehe ga,is jesa koi dosra nahi,woh apne sab kammo ka dehan rakhta hay or nafarmano ko saaza deta hay.
3. agar tum Khuda ki rehmat ke umeed war ho to is ki makhluk par rehm karo.
4. jahan tak mumkin ho,apne tamam kamo main koa woh zahir hun ya chupe hun,insan Khuda se darta rehy.
5. jo Lhuda ke kamo main masroof ho jaye,to Khuda is ke kamon main masroof ho jata hay.
6. jis ke pas jitna ilim ho ga woh Allah se itna hi dare ga or jitna jahil ho ga utna hi bekhoof ho ga.
7. jo shaks jahanam ke saye se bachna or Khuda ke saye main aana chahata hay is ko chaye ke sakhti ke bejaye raham kare.
8. Allah tumhara madatgar hay,is ke sawa kisi main koi quat nahi.
9. pas jo koi Muhammad ki abadat karta hay,is ko maloom hona chaye ke Muhammad ka intekal ho chuka hay,or jo 10.Allah ki abadat karta hay use maloom hona chaye ke Allah us ko dekh raha hay.
11. is dastoor zindagi par amal karo jo tumhara Nabi tumhare liye laya hay or is raste par chalo jo nabi ne dekhaya hay.
12. is baat ko yaad rakho ke Allah in logon ki zaroor madat karta hay jo is ke Nabi ke liye qurbani dete hain.
13. jo islam laye ga is ke islam se khud bhala ho ga,or jo islam nahi laye ga woh hargiz Khuda ka kuch nahi begar sake ga.
14. talbe dein'amal main zyati karta hay or talib dunyia ilm main.
15. agar koi dil se mulman nahi ho ga to us ka hasab Khuda ke hath main hay.
16. jo mulman panch waqt ki namaz ada karta hay Khuda us ka mohafiz hota hay or Allah ki hifazat main aa gya use koi nahi mar sakta .
17. agar kisi se koi gunah sarzad ho jaye to wazo kar ke do rakat namaz parhe or Khuda se mafi mange,is ke gunah bakish diye jayein ge.
18. Allah ke waday kabi galat nahi ho sakte or na in main kisi kisam ke shuba ka ehtamal ho sakta hay.
19. jis koom ne jahad ko tark kiya woh azab main phans gai,is par Allah zilat or ruswai musalat kar deta hay.
20. kafaron se jahad karna chota jahad hay lakin nafas se jahad karna bara jahad hay.